Saturday 6 September 2014

Khoj

Kuch choti si baatein
thodi si unban
ek uun ka gola khula
aur kahin kuch kho gaya

phir ek sham socha
jo bikhra hai samet loon
uljha hai jo suljha loon
goom raha hai jo uska raasta mod doon

issi khoj mai nikli thi kal
dhoondte dhoondhte thak kar beth gayi
jab mile mujhe woh khoye tukde
phaelle hue the sunsaan sheher mein

kabhi kissi kitab mein mille
kissi gaane ki dhun se aaye
toh kabhi kissi ki baaton ke boliyon se
aaye woh shor mein, ayye woh khamoshi mei

samet kar unko
dhoondh kar khech kar
badh liya hai maine
patli si shakh hai, hawa ke jhoke se bhi ab darr hai

simtein hui kone mere
nami mei doobi hue
khoj rahe the ek dusre ko
shayad mil jayenge
ya shayad jo adhoora hai kuch behtar hi ban jayega

-shievani singh (#romanhindi #hindipoetry)


No comments:

Post a Comment